Tuesday, May 21, 2013

Meri ye kavita meri "AMMAA" ko arpit hai Jo ab Ganga Maiya ki GODI me aaram kr rahi h

Mamta mayee wo sparsh lekar kahan chali gayeen tum..... 
dhundhata hai pyasa mann,us chahat ke saawan ko, 
jiski barish me tum mujhe harpal bheengati ho... 

Maa-o-Maa tum mujhe bahut yaad aati ho..... 

dharti par rup Ish ka maine tum me dekha hai,
apni kami puri karne ko hi saayad Ish ne tumhe bheja hai
jahan ke saare dukhon ko aanchal me apni sanjo leti ho

Maa-o-Maa tum mujhe bahut yaad aati ho......  

kyun le gayee wo din mere kisson ka kahaniyon ka
tum bin kaise karunga saamna mai is jaalim duniya ka,
gum ke har thapede se mujhe tum hi to bachati ho 

Maa-o-Maa tum mujhe bahut yaad aati ho...... 

tumhari lori sunke nindiya gale lagata tha 
meri har jaruraton ki khabar tumhe pehle ho jati thi 
kyun chali gayee dur itna ki khwabon me bhi nahi aati ho 

Maa-o-Maa tum mujhe bahut yaad aati ho..... 

chhod kar jaane se pehle kyun na ek baar tumne socha 
Rota raha mai Jaar jaar tumse lipat kar,
kyun nahi mere aansuon ko poncha 
Aa jao phir ek baar oh Maa kyun itna tadpaati ho 

Maa-o-Maa tum mujhe bahut yaad aati ho....... 

tumhari achaiyon ka sila mai kya dunga 
ho door mujhse par dil me rahti ho 

Maa-o-Maa tum mujhe bahut yaad aati ho.....